This song by Gulzar for film IZAZAT...is one of the best written songs for hindi films...beautifully sung by
ASHA BHONSLE...
Mera kuch saamaan tumhare paas pada hai -2
o o o ! saavan ke kuch bheege bheege din rakhe hain
aur mere ik khat main lipti raat padi hai
vo raat bhulaa do, mera vo saamaan lauta do - 2
mera kuch saamaan tumhaare paas pada hai - 2
patjhad hai kcuh ... hai na ?
o ! patjhas main kuch patton ke girne kee aahat
kaanon main ek baar pahan ke laut aai thee
patajhad kee vo saakh abhi tak kaanp rahi hai
vo saakh gira do, mera vo saamaan lauta do - 2
ek akeli chhataree main jab aadhe aadhe bheeg rahe the - 2
aadhe sookhe aadhe geele, sukha to main le aaye thee
geela man shayad bistar ke paas pada ho
vo bhijwa do, mera vo saamaan lauta do
ek so sola chaand ki ratain ek tumhare kaandhe ka til - 2
geeli mahendi ki khushbu, jhoot mooth ke shikwe kuch
jhooth mooth ke wade sab yaad karaa do
sab bhijwa do, mera vo saamaan lauta do - 2
ek ijaazat de do bas, jab isako dafanaaungee
main bhi vaheen so jaungee
main bhi vaheen so jaungee
Thursday, May 1, 2008
Beautiful lyrics....
Subscribe to:
Posts (Atom)