This piece is so far the most sensuous one i have ever written...and to be very true..this is the most satisfying one too..
Tum bas tum...
aajkal yehi meri subah ka paigaam hai
aur raat ka khwaab bhi...
Bistar ki garmahat me
tere aagosh ki panah sochta hun..
sardiyon ke sunhari dhoop me
tere narm chuuan ka sama sochta hun..
aur sochta hun
poore chaand ka noor teri aankhon me..
tere zulfon me sanwale badal ki jagah sochta hun.
hogi kaisi tumhaare aanchal ki dhoop..
ya tumhara sharm ki chilman se dhka roop..
jo chale aaoge kisi din tum..
to kaisa hoga ye jahan,
kya rangat hogi hawaon ki..
kya sulag uthega aasman..
tumhaare hatheliyon ki lakeerin
jo sja lu apni raahon me..
to kya manzilen bhi jud paaengi..
shayad ye koi aur na kehta hoga..
ya mehsoos na hui hogi tumhe zarurat kabhi..
par diwaane badalon ki koi vajah nahi hoti..
ye to baraste hai...apni khushi se hi..
phir na jaane kahan ghul jaaye ye waqt ki fizaaon me..
chale aao mere makan me kabhi...
mehmaan ki tarah..
na kahoonga kabhi jaane ko..
tum..bas..tum...sajao mere aangan ko..
tum..bas...tum...chale aao...chale aao...
Friday, January 23, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment