Wednesday, April 1, 2009

Rang.....

Aaj ek badi ajeeb si baat hui,
jo dekha aaine me khud ko roz ki tarah
to saamne khda paya ek aur hi shaks..

bada hi itminaan sa,
alag hi rangon me ranga ek shaks.
usne muskura kar pukara mujhe
aur pucha - pehchana mujhe...

main hairaan tha,
kyunki wo lagta tha mujh sa hi
par main kab se rang gya khud ko
mujhe khud hi pta nai..





meri uljhan dekhkar wo hans diya
aur kehnelga
"ye rang, ye dhang
ye chain-o-sukun tumne hi to diya hai mujhe
jab tumne kisi ke hawale kiya tha khud ko..
bas tabhi se tabiyat ne rang badla hai.
ye sabhi nishaan hai usi ehsaas ke,
ishq ne ranga hai mujhe...bas ab to
jhoom rha hai har ang usiki preet me"

aur jaate waqt wo kehkar gya
"karo shukriya us insaan ka
jisne di tumhe jagah apni zindagi me"
phir maine socha tumhara naam...
aur ban gya khushganwaar ek aur din!!!