Sunday, September 11, 2011

ae zindagi

kahin ugta hoga suraj kisi chor par,
kahin angdaai leti hogi zindagi, alsaayi si,
main tak rha hun is ghangor andhere ko.

Bas chup-chaap sa phaila hai ye smaa,
kahin koi panchi bol jaata hai door kahin,
lagta hai jaise awaaz di ho mujhe hi.



kyu talaash rha hun main nishaa zindagi k,
kyu hain mere haathon me ye bejaan pathar
kyu main bhaagna chahta hun khud se hi
khain pehchaan na lun khud ko hi..

ae zindagi bas aa bhi jaa,
...aur thaam le haath mera.

Friday, September 2, 2011

ye tadap....

I almost forgot that I used to maintain a blog too..Life has been very busy over a couple of years,wasn't able to devote much time to writing.But I cannot withold this "tadap" to write something and let the words flow.

Lafzon ki badi tadap hai fail jaane ki kagaz par,
khwaish hai bharne ki uska korapan.
Mere haathon se fislate ye lamhe bhi to
bhikhar jaate hain meri zindagi me
bharne iska korapan..




Roz kuch nya likhta hai waqt, mere man ke kagaz par,
lamhon ki kalam se, haqiqat ki syaahi se..
jo bane tasveer tumhaari agar to bas
wahi rok dun is zindagi ki nazm ko.