Saturday, March 21, 2009

Mehndi....

This piece i have written on the request of a friend of mine..the theme is about a girl who is not so fair in color and she is thinking about her special someone...so i have tried to encase the feelings which might be rising in her mind..





Gun-gunane lagi hai hawayen kyu,
muskurane lagi hain fizaayen kyu,
na jaane har aahat par kiska intezaar hai..

ud gayi hain saari silwatein maathe ki..
us ek shaqs ki bas halki si yaad se..
sapno se saji hui hain aankhen
jaise utar aane ko hain sitaare saare..
chaand bhi dekhta hoga chipkar kahin.

raat me ghula jaata hai rang uska..
raat....jo beete haule haule,
meethi shahad si..,naram phoolon si..

phoolon se saja hua hai rasta milan ka..
intezaar me uske jo chale uspe haath thaamkar..

kabhiu ban jaati hai kaajal unki aankhon ka..
gehri kaajal si..
to kabhi mehndi ban kar chad jaati hai hatheliyon par
pukki mehndi si...

ye sabhi..aur bahot kuch samete baithi hai
unke intezaar me...
ho swikaar to samhjegi khuskisamt,
nahi to shayad utar jaaye mehndi ke rang ei..haule haule...

No comments: