Saturday, September 12, 2009

......

For this poem i could not think a title...so ye aap par chodta hun...koi acha sa title suggest karna...

Har din ek bechaini si rehti hai,
jaise koi panchi apne ghronde ko chod kar
nikal aaya ho kahin door
aur tadpta ho waapis laut aane ko..

ko baat yaad aati hai achanak hi baithe hue
jaise barsa ho paani tere aanchal se
aur mehek uthi ho zameen meri..

bda mushkil kat-ta hai waqt, har shaam
chat par jo dekhu door tak phaile aasman ko...
har roz bhejta hun
kuch badal tumhaari taraf sametkar mera pyaar..

hansi to abhi bhi aati hai hontho par,
par un baaton par nahin, jo tumhaare saath
jiya karte the,
muskurahate to band hai kahi,
aur chaabi to tumhaare paas hai...

khushboo tuhaare aaghosh ki dhoondta hu
khud me aksar, jo sambhal kar rakhi hai
har us jagah, jahan chua tha tumne..

karta hu min-nte waqt se, guzarne ki jaldi,
aur dhoond laane ki us lamhe ko
jab kho jaega waqt, aur shayad hum bhi ek doosre me...

No comments: