Monday, March 4, 2013

Badi der hui



Badi der hui, na jaane kahan tha main,
kisi khayal me bahot door nikal aaya khud se hi
mud ke dekha to na to wo mod tha
jahan tumne apna rumaal baanda tha,
na hi wo darakth jahan wo do panchi raha karte the
Badi der hui kisi khayal me bahot door nikal aaya

Ab lauta hun to sab badal gya hai,
lagta hai shayad waqt apni chaal chal gya hai
kis se puchu pta tera ab, ye hawa bhi anjaani si lagti hai,
teri hansi ko doondh rha hu, bas utna hi wada kiya tha tumne
Badi der hui na jaane kahan tha main
kisi khayal me bahot door nikal aaya tum se bhi

3 comments:

Unknown said...

👌
Hatts Off Aashish..😃

varun riat said...

nice one Aashish

Faheed said...

Thank you Ashsish jee. thansk for your contributions.