Sunday, January 18, 2009

Aaj-kal....



aajkal waqt se dosti hai,
kab guzarta hai, pta nai chalta..
kabhi muskurate, kabhi sharmaate..
kabhi sapne sajate, ye beet-ta hi jaata hai..

na jaane kahin se kuch naye khwab ayen hain,
aur ghulne lage hain naye aasma me,
chalta hai ye bhi mere saath kadam milaate
aajkal khwabon se dosti hai..

saanso me mehsus hoti hai khanak ajeeb-si,
nazar bhi thehra karte hai, uske har nishaan par..
hawaon ki shararat par, tumhara ehsaas rehta hai,
aajkal hawaon se dosti hai..

raat hote hi intezzar rehta hai,
na khatm hone wali baaton ka..
sitaare bhi hansa karte hai, humari nadaaniyon par,
to kabhi dekhte hai khamoshi se hume milte hue..
aajkal sitaron se dosti hai...

bas saara sma kuch is tarah
badalne lga hai..
ki khoobsurat lagta hai har beet-ta lamha..
ae mere sanam, shukriya hai tera,

tum hi to ho..
wajah is haseen ehsas ke..
shukriya tera shukriya.......

No comments: