Monday, January 26, 2009

Zindagi..

Mere uljhe hue sawalon ka gucha
rakha hai meri maej par...
rakha hai sambhal kar, suljhaane ko zindagi ke saath
jo hui mulakaat kabhi to,
zaroor dunga awaaz use, mere kareeb aane ko.

kuch mude hue kagaz k tukde bhi rakhe hue hain
wahan saamne kone me,
samete hue hain ye, wohi khawaab sare,
jo bas khawaab hi reh gaye..
yeh bhi thamaungaa zindagi ke haath me.

ek kursi bhi padi hai,
khidki ke paas, jahan se
takta hu main raah din aur raat ki,
kabhi kabhi to hawa ki aahat bhi sunai deti hai
yahin aati hai neend sabse gehri..
lagta hai jaise sehlaati hai
raaton me kabhi kabhi..

baraamde me, seedioyn ke paas baithkar
dekhta hu...suraj ko dhalte hue ghanto main,
ab intezaar hai, zindagi ke kaandhe par
sir rakhkar suraj dubone ka,
aur phir ugaana chaand raaton ko..

badi umeedien hain zindagi se,
aaj kal zindagi aas paas hi rehti hai...

No comments: