Friday, January 30, 2009

Haal-e-dil

Swalaon se ghira rehta tha main,
ab jawabon ka intezaar hai,
sara jahan khuli kitaab lagta hai,
haan...mujhe pyaar hai.

kabhi din gujarte the, shaam ke intezaar me
aur ab...shaam ko bhejna chahta hun haath pakad kar,
wajah hai tumhaare aane ki umeed..
zariya hain khwaab mere,

baaton ka ambaar lag jata hai, tumhaare bina
jab aate ho saamne to, sab bhool jata hun..

chehre ki raunak,
chamak aankhon ki..
aur ehsaas tumhare wazood ka..
phir fursat kahan hoti hai kuch bayan karne ki..

shikayat hai tumhe mere andaaze-ijhaar se,
magar yehi ek tarika hai apne paas,
jaise khus ho koi bacha..
paakar koi khoi cheez..

nahi rkhta kuch dil me..chupaakar tumse,
bna rha hun khuda tumhe,

jab kabhi yaadien karti hai sawal tumhara
jawab mera taiyaar hai...
haan, mujhe tumse pyaar hai....!!

No comments: