Sunday, February 1, 2009

Roz...




Roz hoti hain muklakat aasman se,
jita hun thode lamhe iske naram saye me,
bhool jata hu apni uljhane, saari bechaniyan

jee me aata hai bas sota rahu..
tumhaare sukun bhare aanchal me
koi awaaz, na koi halchal..
bas sunaai de to..uthti-girti saansen..

bun-na chata hu koi chadar nai
apni saanso se, ghol kar rang apne sapno ke,
phaila dun use aasman par..

kabhi jee karta hai..
thaam kar haath tumhara, bas chalta rahu
in khamosh ugate phoolon ke beech,
mehsus kare hum, ihki mehak bas chookar hi.

jab tum hote ho saath to pankh lag jaate hain waqt ko,
pehle waqt kat-ta nai,
aur phir tumhaare saath, ye rukta nahi..

jo baatein tumhe kehna chahu,
wo to ud jaati hai hawa-si,
lafz bhi dete hain dga kai baar,
reh jaata hu to..sirf main,
apne wazood ke saath

kya du tumhe, kya lu tumse,
mere alfaaz khamosh hain,
phir jo keh rha hu, yeh jubaan hai mere jehen ki
chahe to phailte rahe kagaz par,
ya..simat jaaye tumhaare naam me..

isi kashm-kash me roz karta hu mulakat aasman se,
shayad baras lu....tumhe yunhi bhigota sa....

No comments: